Thursday, 27 June 2013

Chot yaad’on k waar karny lagi

Chot yaad’on k waar karny lagi
Jab parry be-nishaan parti hai. . !

Chali hai jaan yaad-e-raftaga’n mein


Chali hai jaan yaad-e-raftaga’n mein
Musafir hai talash-e-karwaa’n mein. . !

Churi ki dhaar se katti nahi charagh ki lou. .


Churi ki dhaar se katti nahi charagh ki lou
Badan ki maut se kirdaar mar nahi sakta. . !

Chaak ko taqdeer k karna nahi mumkin rafu


Chaak ko taqdeer k karna nahi mumkin rafu
Sozan-e-tadbeer gar sari umer seeti rahay. . !

Ab Tou Keh Do Naa. . !


Mein aaj boht udaas hoon
koi nahi
Jis dil se veerani baant saku’n
Koi nahi
Jo mery behtay aansuo’n ko rok sakay
Koi nahi
Jo ik zara harf-e-tasalli de
koi nahi
Jo muskura k kahay
“Apni hasaas aankho’n ko takleef na de”
Ye moti merey dil pe girty hain
Koi nahi
Agar hai tou bolta kyun nahi hai. . !

Chamak taaray se maangi, Chaand se daagh-e-jigar maanga. . !


Chamak taaray se maangi, Chaand se daagh-e-jigar maanga. . !
Uraai teergi thori c shab ki zulf-e-barham se. . !

Chandni raat ki pheli hui tanhai mein. . !

Chandni raat ki pheli hui tanhai mein. . !
Dil mein yaado’n ka dhuan ho to ghazal hoti hai. . !