Monday, 1 July 2013

Meri khushbu tumhe kholey gi gulaabon ki tarah..


Meri khushbu tumhe kholey gi gulaabon ki tarah,
Tum agar khud se na bolo ge to yaad aaon ga..

Zikr ik roz palattney ka kiya tha tum ne..

Zikr ik roz palattney ka kiya tha tum ne ,
Ik diya dil ke andherey mein jala rakha hai..

Us waqt intizar ka aalam na puchiye..

Us waqt intizar ka aalam na puchiye,
Jab koi bar bar kahe, aa raha hoon mein..

Aaya na aik baar ayyadat ko wo maseeha..

Aaya na aik baar ayyadat ko wo maseeha,
So baar hum faraib se beemar ho gaye..

Bahaar ki badnaseeb raatain bhula rahi hain chalay ao bhi


Bahaar ki badnaseeb raatain bhula rahi hain chalay ao bhi,
Kisi sitaaray ka dil ban kar , kisi kay dil ka karaar ban kar

Baalon main apna saja liye apnay gajray tumharay naam kay

Baalon main apna saja liye apnay gajray tumharay naam kay,
Khud hi haya anay lagi saye barhay jab shaam kay

Thursday, 27 June 2013

Ye dil gehra samander hai. . !


Ye dil gehra samander hai
Aur is mein ik jazera hai muhabbat nam hai jis ka
Sitar’on ki tarha roshan, damakta, muskurata
Khushbo’on rang’on mein doba
Sarab’on ki tarha sey bhi hum is ko qaid ker nahi saktey hargiz
Wo titli ki tarha sey ungli’on sey sard por’on ko
Dhanak sa ker to deta hai
Magar kuch dair mein khawaj=hish key sahil per pari
Gili si,thandi sir ait jesa ban jata hai
Hawa’on ki tarha sey hum bhi is ko cho to saktey hein
Magar koi taluq der pa qaim kabhi nahi ker saktey
Ye dil gehra samander hai
Aur is mein ik jazera hai muhabbat nam hai jis ka